Khali Botal Lyrics – Parampara Tandon

Parampara Tandon’s Khali Botal Lyrics. The song was sung by Parampara Tandon. Lyrics and Music was provided by Manan Bhardwaj.

Khali Botal Lyrics – Parampara Tandon

Khali Botal Song Details:

  • Song: Khali Botal
  • Singer: Parampara Tandon
  • Lyrics: Manan Bhardwaj
  • Music: Manan Bhardwaj

Khali Botal Lyrics – Parampara Tandon


Sajna ve sajna ve..

Mujhe dede beshak maut
Par tu itna yaad rakh
Jitni tadpegi rooh meri
Tu utna royega

Jiske liye toone tod diya
Haan dil mera oye kajra
Jaise khoya maine tujhko
Tu bhi usko khoyega

Itna bada sharaabi tu
Mere aansu peeta hai
Itna khaara pee pee kar
Tu aise kaise jeeta hai

Khaali botal hoon sharaab ki
Ab maana main sajjna
Par fikar na kar tu aaj
Bina piye ni soyega

Main tang aa chuki hoon
Tere sab meethe meethe vaadon se

Main tang aa chuki hoon
Tere sab meethe meethe vaadon se
Teri bholi bhali soorat ke
Pichhe chhupe iraadon se

Itna bada juari
Toone kaise mujhko jeeta hai
Ishq ke patton ka yeh hunar
Toone kahan se seekha hai

Jeet gaya tu jeet gaya
Main haar gayi sajjna
Par fikar na kar iss juye mein
Tu bhi sab khoyega

Haan ji huzoori kar kar teri
Kitni raatein kaati hain
Kitni raatein kaati hain

Gham saare rakhe mere
Aur saari khushiyan baanti hain
Saari khushiyan baanti hain

Aur bata de ab mujhko
Kitna aur todega
Khel mein lekin oye kanjre
Sunn sabki baari aati hai

Toone jitna mujhe rulaya hai
Maine khuda ko sab bataya hai
Ab dekh tamasha kya hoga
Mera khuda laut ke aaya hai

Main haar kar bhi jeetungi
Yeh mera tujhse vaada hai
Dekh tol kar nafrat apni
Pyar mera kahin zyada hai

Tu khush hai meri maut se
Yeh maalum hai sajjna
Par fikar na kar tu
Jeete jee bhi har pal royega

Sajna sajna ve
Sajna sajna ve..

Bina piye ni soyega


If there is a correction in the lyrics let me know in the comments. Thank you!
Previous
Next Post »

Please Do Not Spam on The Comment Box EmoticonEmoticon